12:00 AM

Hum na rehenge

posted under by sandeep | Edit This
Hum na rehenge, fasane na rahenge
phir yaad aane ke zamaane na rahenge,
Tum yaad to zaroor karogi hum ko
magar pass bulane ke bahane na rahenge.

11:59 PM

Dosti kya hai...

posted under by sandeep | Edit This
Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tou
Piyar ki inteha bhi dosti hai....

1:26 AM

Mere dard ki kahani....

posted under by sandeep | Edit This
Mere dard ki kahani meri hasraton se poocho,
Main luta hoon kaise mere doston se poocho,
Jo khuda tha mere dil ka, mera dil usi ne todha,
Ye ghamo ki sarhadon par mujhe kis ne la chora,
Usse maine kitna chaha meri dharkano se poocho,
Main luta hoon kis tarah mere doston se poocho
Yeh saza mere naseeb ne dee meri aashiqui ki,
Diya jis ko dil ussi ne mere dil se dillagi ki,
Main kahan kahan jala hoon meri hasraton se poocho,
Main luta hoon kis tarah mere doston se poocho.

1:15 AM

youn dil jalanay ki kya zarorat thi

posted under by sandeep | Edit This
youn dil jalanay ki kya zarorat thi
pass aker dor janay ki kya zarorat thi
Hum to usse ra'h per ker rahay hain tumhara intezar

tumhe apna rasta badalnay ki kya zarorat thi
Main ne to bas younhi keh dia tha

itna dil per laganay ki kya zarorat thi
Nahi mohabbat thi hum se,to keh dia hota

youn kisi ko saath laker jalanay ki kya zarorat thi
Kabhi azmaya to hota humay tum ne ayy naaz

apna dewana bana ker youn chordnay ki kya zarorat thi...

3:36 AM

Gareeb kya ishq karegaa

posted under by sandeep | Edit This

Gareeb kya ishq karegaa kya ishq kaa ikraar karega
Kyun jeenaa apnaa jaan bujhh kar dushwaar karegaa

Do paise kama ke pyaar se daal roti khaata hai
Ishq ke chakkar main kyun khud ko bekaar karegaa

Mehant karke thakk haar ke achche neend wo sota hai
Kyun raaton main taare giinne ka wo vyaapaar karegaa

Ishq ki galiyoon main dil uskaa gar tut jaaaye tho
Aise lachaar bekaar premi ka sahyogg kya sansaar karegaa

Par ye qudrat kaa khel bhii dekhoo
Ishq usse bhi ho jaaye tho phir kya wo lachaar karegaa


wo kehte hai ki unki adda hai muskurane ki,
per unhe kya pata ye bhi ek adda hai gum chupane ki.

3:29 AM

Kuch bhi nahi

posted under by sandeep | Edit This
Socha nahi acha bura
Dekha suna kuch bhi nahi
Manga khuda say har waqt
Teray siwa Kuch bhi nahi !

Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Mere wafa mere khata
Tere khata kuch bhi nahi !

Jis par hamare aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay
Ham nay likha Kuch bhi nahi !

Aur aik sham kee dehleez par
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha kuch bhi nahi !

Do chaar din kee baat hay
Dil khak main mil jaye ga
Aag per jab kaghaz rakha
Baqee bacha Kuch bhi nahi !

1:49 AM

Ik Bewafa Ko Ham

posted under by sandeep | Edit This
Ik Bewafa Ko Ham Ne Is Dil Main Jagah Di Thi
Khawabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi
Chaha Tha Usko Ham Ne Kud Se Bhi Badh Kar
Us Chahat Main Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi
Maloom Nahi Tha Hum Ko Wo Bewafa Bhi Hogi
Us Per Bahrosa Kar ke Kud KO Hi Saza Di Thi
Socha Tha Sath Mil Ke Katenge Zindagi Ko
Us Ne To Ik Pal Main Har Baat Bohla Di Thi
Keysa Sitam He Dekho Wo Kab Se Juda Hai Mujh Se
Apni Zindagi Jis Ka Saya Bana Di Thi
Kiya Tha Us Per Bahrosa Kyon Had Se Badh Kar!!!!!!!!
Us Ki Jafa Ne Dil Main Ek Hal-chal Si Macha Di Hai...

10:35 PM

Shayaris – Direct Dil Se .:

posted under by sandeep | Edit This
Khamosh raat ke pehalu me sitare nahi hote,
in rukhi aankho me rangin nazare na hote...
Ham bhi na karte parwah agar aap itne pyare na hote..



**********************************



Ek aur shaam ja rahi hai zindagi ki.,
Ek aur din dhal raha zindgi ka,
Ye mat socho k kitne lamhe hai baki zindgi k,
Ye socho k kitni zindgi hai har lamhe me...!!!



***********************************



Kon kehta hai dost ki tumse humari judaai hogi
yeh afwaah zroor kissi dushman ne udaayi hogi
shaan se rahenge tumahre dil mein
hum itne dino mein kuch to jagah bnayi hogi



************************************



Aap jaise Dost hume kuch khas lagte hai.
mann me har waqt hum ek aas rakte hai,
jaane kab aa jaye sms aapka is liye cell ko dil ke pass rakte hai



************************************



Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki us ke bina jiya nahi ja sakta.
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai kal ka kya pata, waqt kahan le jayega



************************************



Yeh dekha hai humne aazmakar,
dhoka dete hai log aksar kareeb aakar,
kehti hai duniya par yeh dil nahi maanta ki chod jaoge tum bhi ek din apna banakar!



************************************



Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki,
Ae dost tu dil ke aur paas aane laga..



************************************



Rulaane se pahale ek baar hasaya to hota,
kasoor kya tha es dil ko bataya to hota! Mili saza uss khata ki jo ki na humane,
Kassh HUmane tujhse Dil lagaya na HOta!!



************************************



Usko chaaha to bhi ikraar karna naa aaya..
Kat gayi umar humein pyaar karna naa aaya..
Usne maanga bhi agar kuchh to judaai maangi..
Aur ek hum they ki humein inkaar karna naa aaya..



************************************



Unki yaadon main kabhi hum so bhi na sake...
unke khayalon mein kabhi kho bhi na sake..
jab judaai ka waqt aaya to kismatt dekho..
hum aakhon se ro bhi na sake



************************************



Janaza mera uth raha tha,
Phir bhi takleef thi unko aane mein,
Bewafa ghar mein baithe puch rahe the,
aur kitni der hai lejane mein..



************************************



Ek pal mein jo aakar gujar jaaye yeh hawa ka woh jhoka hai ..
Aur kuch nahi Pyar kahti hai duniya jise .. ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi



************************************



Aarzoo jhooth hai, Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe.. Dil kabhi kisi se lagana nahi.



************************************



Mehfil main kuch to sunana padta hai,
Gham chupakar muskurana padta hai,
kabhi unke hum bhi the dost,
Aaj kal unhe yaad dilana padta hai...



************************************



Zindagi motaj nahi manzilo ki,
waqt her manzil dekha deta hai..
Marta nahi koi kisi se juda ho kar,
waqt sab ko jeena sikha deta hai.



************************************



Humne manga tha saath unka,
Woh judai ka gam de gaye,
Hum unki yaado ke sahare ji lete,
par woh bhul jaane ki kasam de gaye...



************************************



Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kiya,
Woh kaun Hai zalim, Jisne tera yeh haal kiya,
Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai,
woh nikli bewafa bus itni si baat hai...



************************************



Pal bhur me tooth jaye wo kasam nehi..
Mohubbat ko bhool jaye wo hum nehi,
Tum bewafa bano is baat mein dum nehi..
kion k humari wafa bhi kuch kam nehi



************************************



aansuon ko palkon pe laaya na kijiye..
dil ki baatein har kisi ko bataya na kijiye...
log mutthi mein namak liye firte hain..
apne har jakhm dikhaya na kijiye...



************************************



MERA HAR DIN TERI RAAT SE ACHHA HOGA,
MERA HAR SHER TERE JASBAAT SE ACHA HOGA,
INHI NIGHAON SE DEKHNA AYE BEWAFAA.
MERA JANAAZA TERI BAARAT SE ACHHA HOGA



************************************



fareb tha unki hasi me,aashiqui samaj baite.
maut ko hum apni zindagi samaj baite.
yeh waqt ka majak tha ya hamari badnasibi
unki do baaton ko mohabbat samaj baite.



************************************



MAT KARO KOI WADA JISE TUM NIBHA NA SAKO,
MAT CHAHO USE JISE TUM PA NA SAKO,
PYAR KAHAN KISI KA POORA HOTA HAI,
ISKA TO PEHLA SHABD HI ADHOORA HOTA HAI



************************************



humain to apnon ne loota gairon main kahan dam tha...
meri kashti wahan doobi jahan paani kam tha...



************************************



royengi ankhen muskuranae kae baad
aayegi raat din dhal jaanae kae baad
meri zindagi se jao... toh zara mudh kar dekh lena,
shayad zindagi na rahe tere jaane kae baad!!



************************************



Na mil payenge is baat ka gam to nahi,
aansoun ki keemat pani se kam to nahi,
tumhe khone k dar se neend aati nahi,
kahin is dar se tumhari bhi aankhen nam to nahi.



************************************



Har kisi say zyada, bus khuda se kum
Humein itni mohabbat hai tumse sanam
Ab chaahay parain ishq main jitnay sitam
tumhain paana hai chaahey jitnay ho gham
Labon nay na bola per is jahan ki kasam
Agar hota jayaz, pujtey tum ko hum....




************************************

10:35 PM

Special Collection .:

posted under by sandeep | Edit This

Hume Hansne - Hasane ki aadat hai,
Nazron se Nazar Milane ki aadat hai,
Par hamari to nazar unse hai ja mili,
Jinhe nazar Jhukake Sharmane ki Aadat hai...



______________________________________


fitrat badal chuki hai,is dil-ye-bekraar ki
ek adat si ho gai hai,tere intzaar ki



______________________________________


waqt ke saath badal jaae,use pyar nahi kahte
musibat se jo dar jaae use yaar nahi kahte



______________________________________


na khuda dil banata,na kisi se pyar hota
na kisi ki yaad aati,na kisi ka intzaar hota
dil diya hai,use samhaal kar rakhna
sheese se bana hai patthar se door rakhna



______________________________________


aankho main aansoo ki tarha
phoolon main khusboo ki tarha
aap mere dil main base ho
dil main dhadkan ki tarha



______________________________________


agar karni thi bewafaai ,to pahle bata dete
duniya badi haseen thi,hum kahin aur dil laga lete



______________________________________


aaj tak hum chahte rahe hain aapko
ye baat bhi to bata te rahe hain aapko
ab aap hi na samj paae to kya karen
hum to haal-ye-dil sunate rahe hain aapko



______________________________________


kamal ho tum,na gulaab ho tum
meri aankho ke khowaab ho tum
haanth utha kar rub se jo sawal kiya tha
un sawalon ka jawab ho tum



______________________________________


tu phool hai gulaab ka
main asiq tere sabaab ka
teri tasveer mere dil main hai
kya fayda tere nakaab ka



______________________________________


aap jayse log hume kuch khaas lagte hain
mun main har waqt hum ek aas rakhte hain
jaane kab aa jae sms aapka
is liye cell ko dil ke paas rakhte hain



______________________________________


har mod par inthaan leti hai zindgi
har roz nae sadme deti hai zindgi
is zindgi se sikwa kare bhi to kayse
aap jaysa dost bhi to deti hai zindgi



______________________________________


sokhi hai nazakat hai,aankho main sararat hai
aysa bhi sharmana kya,kah do ki mohabbat hai
aaaaaaahhhhhh...kahne ki zaroorat kya,baaton ki
hakikat hai
chalke na nigaahon se aysi bhi mohabbat kya




______________________________________


Woh aaye maiyat par meri,
karne mohabbat ka izahar,
mere bejaan jism ne kaha,
mat ro, aaj bhi main tujhe karta hoon pyar.



______________________________________


Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.



______________________________________


Kuch rishte anjane mein ho jate hai,
pehle dil phir zindagi se jud jate hain,
kehte hai uss daur ko dosti,
jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai



______________________________________


Tere pyaar mein mere sanam,
hum khud se mulaquat kar bhete
Chalte chalte bas yunhi achanak,
hum zindagi se mulaquat kar bhete



______________________________________


Koi hamein samjhe, na samjhe…
Hum khud ko samajh gaye…
Doston ki khushi ke liye…
Unki zindagi ki raah se hatt gaye



______________________________________


Ek roz bhari duniya se chala jaoonga
guzre huey waqt ki tarha wapas na aaoonga
tujhse jo pyar mila hai, us pyar ki kasam
tujhe zindagi bhar kabhi na bhulaaonga



______________________________________


Zindagi hamesha kuchh naya dikhayegi
Kabhi hasengi to kabhi rulayegi
Is par bharosa mat karna
Ye zindagi hai na jane kis mod pe akela chhod jayegi



______________________________________


Mili hai bahut saza unse dil lagane ki,
Nazar lag gayi mere pyar ko jamane ki,
Mar kar bhi kabr se nikle rahe dono haath
Kyonki aarzo reh gayi unhe gale lagane ki



______________________________________


Mat karo in hasino se pyar, ye mitti mein mila deti
hain,
Ye itni bedard hoti hain ke bina kafan ke jala deti
hain



______________________________________


Betab tamnnaon ke ksasak rahne do,
Manjil ko pane ki lalak rahne do,
Aap bhale raho najron se dur,
Par meri band aankhon me appki ek zhalak rahne do



______________________________________

10:34 PM

shayari with a twist....

posted under by sandeep | Edit This
=============================================
.

Tumko dekha....tumko dekha...
tumko dekha....to yeh khayal aaya
paaglon ke stock mein naya maal aaya!



=====================================



Idhar kuda hai, udar khuda hai,
jidar dekho udar khuda hai,
idhar-udhar bus khuda hi khuda hai
jidhar nahi khuda hai....udhar kal khudega!



======================================




The night is dark, the moon is high,

I stop my car, u ask why?

I come close to u, u feel shy,

I tell u those three magical words....

Hye La, Puncture!!!




======================================




Tumsa koi dusara jameen par hua

to rab se sikayat hogi....

Ek to jehlla nahi jata

dusra aa gaya to kya halat hogi!!!




======================================




koi pathar se na maare mere dewaane ko........


koi pathar se na maare mere dewaane ko........


koi pathar se na maare mere dewaane ko........


abe aage bhi to bol...............

neuclear power ka jamaana hai, bomb se udaa do
saale

ko...................




======================================




tuhaar chehraa moti samaan ..

tuhaar chehraa moti samaan...

moti hamaar kutte ka naam!!




===========================================================




Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat
se

sharmana...

Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat
se

sharmana...

Ye line samajh me aaye to mujhe zaroor
batana!!




===========================================================




tere dar pe sanam hazar baar aayenge,

tere dar pe sanam hazar baar aayenge.....

ghanti bajayenge aur bhaag jayenge !!




===========================================================




Jis waqt khuda ne tumhe banaya hoga, ek saroor
sa uske

dil pe chaya hoga...pehle socha hoga tujhe
jannat mein

rakh lun..phir usse zoo ka khayal aaya hoga!!!




===========================================================




Mere marne ke baad mere doston,

yu aansoo na bahana,

Agar meri yaad aaye to,

sidhe upar chale aana!!




===========================================================




Unki gali se guzre..ajeeb ittefaq tha

Unki gali se guzre..ajeeb ittefaq tha

Unho ne phool phenka..gamla bhi saath tha!!




===========================================================




Kyon apni kabar khood-hi khod raha hai
Galib...

Kyon apni kabar khood-hi khod raha hai
Galib...

La, phawda mujhe de!!




===========================================================




Tumko dekha to ek khyal aaya

Tumko dekha to ek khyal aaya

Tumhari saheli ko dekha to doosra khyal aaya!!




=======================================================




Na woh inkaar karti hai

Na woh ikraar karti hai

KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar

Mere dost se pyaar karti hai.




========================================================






Jab Jab gire Baadal, Teri Yaad aayi

Jhoom ke barsa Saawan, Teri Yaad aayi

Bheega main,lekin phir bhi teri Yaad aayi

Kyon na aaye teri yaad? Tune jo chatri ab tak
nahi

lautai...




=======================================================





Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain

Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge

maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai

bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge!!!!:?




=======================================================



Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,

Kutte bhi hamare yaar ho gaye,

Wo to hamare ho na sake,

Hum kutton ke sardar ho gaye...




=====================================================




haseen tum ho to bure hum bi nahi,

mahalo mein tum ho to sadak par hum bhi nahi,

pyar karke kehte ho shaadi shuda ho,

kaan kholkar sunlo. kunware hum bhi nahi.




========================================================




Macchar ne jo kata... dil main mere junoon tha.
Khujli hui itni... dil be sukoon tha.
Pakada to chod diya yeh soch kar
ki.... sale ki ragon main apna
hi khoon tha!




======================================================




Aaj didar, kal yaar, parso pyar, phir ekrar,
aur
phir-intzar,
phir-takrar,
phir-darar, saari mehnat-bekar, aur akhir
mein-Ek aur
devdas at beer




====================================================

10:32 PM

Meri ankhon ke ........

posted under by sandeep | Edit This
meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...



ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...



baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...



mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...



regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...



Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...

10:31 PM

HUMARI YAAD

posted under by sandeep | Edit This
Tumhe hamari yaad kabhi to aati hogi
dil ki dhadkan bhi shayed bhar jati hogi
kitna chaha tha humne ke saath saath rahe
yeh soch kar tumhari bhi aankh bhar aati hogi



beete din ab wapas to nahi aa sakte
kho diya hai jo use to nahi pa sakte
dhool si hi rah gayi hai baki hawa mein
kash tumhe zindgi me phir se bhoola sakte



zindgi choti hai magar itni choti bhi nahi
Aankhen sookh gayi hai aur ab roti bhi nahi
zara zara si baton pe agar hum na jhagarte
to shayed yeh zindgi tumse juda hoti bhi nahi




tum nahi aaoge phir bhi rahta hai intzaar
kabhi kabhi baith jati hoon kar ke shringaar
tumhara bhi khana laga deti hoon aksar mez per
aur darwaze per daur kar jati hoon baar baar



agar bhoole se bhi kabhi hamari yaad aati ho
aur tan badan mein ek siharan si daur jati ho
mere yaar mere dil ke malik, pass chale aana
agar sooni sooni raten tumhe bahut satati ho



waise akele hi aaye hain aur akele hi jana hai
kaisa bhi ho bandhan ek din to toot jana hai
koi kitna bhi rahe pass ya kitna bhi rahe door
sukh dukh ka jalwa apne hi mann ka afasana hai

10:43 PM

Meri Pehli Aur Akhri Muhabbat

posted under by sandeep | Edit This
Meri Pehli Aur Akhri Muhabbat

"" Ager kabhi tum jaan na chaho
ke tum mere liye kya ho
tu sun lo....

meri her saans mein tum ho
meri her dhadkan mein tum ho
meri har aahat mein tum ho
meri her chahat mein tum ho
mere her lafz mein tum ho,
her naam tumhara naam hai
her baat tumhari baat hai
her lafz jo mere lab per hai
woh tumhara kaha huwa hai
her lamehin mere zahen mein tum ho
her khawab mein tum ho
her nazar mein tum ho
her lamhein mere khayyalon mein tum ho
her yaad tumhari yaad hai,
her yaad mein tumhare yaadein hein
her chehre mein tumhara chehra hai
her sitare mein lagta hai
tumhara kangan chamak raha hai
her khushboo tumhare
badan ki khushboo lagti hai
chand mein tumhara chehra dikhta hai
meri her aadat tumhari aadat hai
mera yeh jivan tumhare naam hai
meri zindagi tumhare naam hai
meri zindagi tum se hai
meri pehli aur aakhri mohabbat tum ho
Haan meri pehli aur aakhri MOHABBAT tum Ho..

4:34 AM

खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

posted under by sandeep | Edit This

खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी
- Subhadra Kumari Chauhan

सिंहासन हिल उठे राजवंशों ने भृकुटी तानी थी
बूढ़े भारत में आई फिर से नयी जवानी थी
गुमी हुई आज़ादी की कीमत सबने पहचानी थी
दूर फिरंगी को करने की सबने मन में ठानी थी

चमक उठी सन सत्तावन में, वह तलवार पुरानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

कानपूर के नाना की, मुँहबोली बहन छबीली थी
लक्ष्मीबाई नाम, पिता की वह संतान अकेली थी
नाना के सँग पढ़ती थी वह, नाना के सँग खेली थी
बरछी ढाल, कृपाण, कटारी उसकी यही सहेली थी

वीर शिवाजी की गाथायें उसकी याद ज़बानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

लक्ष्मी थी या दुर्गा थी, वह स्वयं वीरता की अवतार
देख मराठे पुलकित होते उसकी तलवारों के वार
नकली युद्ध व्यूह की रचना और खेलना खूब शिकार
सैन्य घेरना, दुर्ग तोड़ना ये थे उसके प्रिय खिलवाड़

महाराष्टर कुल देवी उसकी भी आराध्य भवानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

हुई वीरता की वैभव के साथ सगाई झांसी में
ब्याह हुआ रानी बन आयी लक्ष्मीबाई झांसी में
राजमहल में बजी बधाई खुशियाँ छायी झांसी में
सुघट बुंदेलों की विरुदावलि सी वह आयी झांसी में

चित्रा ने अर्जुन को पाया, शिव से मिली भवानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

उदित हुआ सौभाग्य, मुदित महलों में उजयाली छायी
किंतु कालगति चुपके चुपके काली घटा घेर लायी
तीर चलाने वाले कर में उसे चूड़ियाँ कब भायी
रानी विधवा हुई, हाय विधि को भी नहीं दया आयी

निसंतान मरे राजाजी रानी शोक समानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

बुझा दीप झाँसी का तब डलहौज़ी मन में हर्षाया
राज्य हड़प करने का उसने यह अच्छा अवसर पाया
फ़ौरन फौजें भेज दुर्ग पर अपना झंडा फहराया
लावारिस का वारिस बनकर ब्रिटिश राज्य झांसी आया

अश्रुपूर्ण रानी ने देखा झांसी हुई बिरानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

अनुनय विनय नहीं सुनती है, विकट फिरंगी की माया
व्यापारी बन दया चाहता था जब यह भारत आया
डलहौज़ी ने पैर पसारे, अब तो पलट गई काया
राजाओं नव्वाबों को भी उसने पैरों ठुकराया

रानी दासी बनी, बनी यह दासी अब महरानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

छिनी राजधानी दिल्ली की, लखनऊ छीना बातों बात
कैद पेशवा था बिठुर में, हुआ नागपुर का भी घात
उदैपुर, तंजौर, सतारा, कर्नाटक की कौन बिसात?
जबकि सिंध, पंजाब ब्रह्म पर अभी हुआ था वज्र-निपात

बंगाले, मद्रास आदि की भी तो वही कहानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी,
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

रानी रोयीं रनवासों में, बेगम ग़म से थीं बेज़ार
उनके गहने कपड़े बिकते थे कलकत्ते के बाज़ार
सरे आम नीलाम छापते थे अंग्रेज़ों के अखबार
नागपूर के ज़ेवर ले लो लखनऊ के लो नौलख हार

यों परदे की इज़्ज़त परदेशी के हाथ बिकानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

कुटियों में भी विषम वेदना, महलों में आहत अपमान
वीर सैनिकों के मन में था अपने पुरखों का अभिमान
नाना धुंधूपंत पेशवा जुटा रहा था सब सामान
बहिन छबीली ने रण चण्डी का कर दिया प्रकट आहवान

हुआ यज्ञ प्रारम्भ उन्हें तो सोई ज्योति जगानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी,
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

महलों ने दी आग, झोंपड़ी ने ज्वाला सुलगाई थी
यह स्वतंत्रता की चिन्गारी अंतरतम से आई थी
झांसी चेती, दिल्ली चेती, लखनऊ लपटें छाई थी
मेरठ, कानपूर, पटना ने भारी धूम मचाई थी

जबलपूर, कोल्हापूर में भी कुछ हलचल उकसानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

इस स्वतंत्रता महायज्ञ में कई वीरवर आए काम
नाना धुंधूपंत, ताँतिया, चतुर अज़ीमुल्ला सरनाम
अहमदशाह मौलवी, ठाकुर कुँवरसिंह सैनिक अभिराम
भारत के इतिहास गगन में अमर रहेंगे जिनके नाम

लेकिन आज जुर्म कहलाती उनकी जो कुरबानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

इनकी गाथा छोड़, चले हम झाँसी के मैदानों में
जहाँ खड़ी है लक्ष्मीबाई मर्द बनी मर्दानों में
लेफ्टिनेंट वाकर आ पहुँचा, आगे बड़ा जवानों में
रानी ने तलवार खींच ली, हुया द्वन्द्ध असमानों में

ज़ख्मी होकर वाकर भागा, उसे अजब हैरानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

रानी बढ़ी कालपी आयी, कर सौ मील निरंतर पार
घोड़ा थक कर गिरा भूमि पर गया स्वर्ग तत्काल सिधार
यमुना तट पर अंग्रेज़ों ने फिर खायी रानी से हार
विजयी रानी आगे चल दी, किया ग्वालियर पर अधिकार

अंग्रेज़ों के मित्र सिंधिया ने छोड़ी राजधानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी,
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

विजय मिली पर अंग्रेज़ों की, फिर सेना घिर आई थी
अबके जनरल स्मिथ सम्मुख था, उसने मुहँ की खाई थी
काना और मंदरा सखियाँ रानी के संग आई थी
युद्ध श्रेत्र में उन दोनों ने भारी मार मचाई थी

पर पीछे ह्यूरोज़ आ गया, हाय घिरी अब रानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

तो भी रानी मार काट कर चलती बनी सैन्य के पार
किन्तु सामने नाला आया, था वह संकट विषम अपार
घोड़ा अड़ा नया घोड़ा था, इतने में आ गये सवार
रानी एक शत्रु बहुतेरे, होने लगे वार पर वार

घायल होकर गिरी सिंहनी उसे वीरगति पानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

रानी गयी सिधार चिता अब उसकी दिव्य सवारी थी
मिला तेज से तेज, तेज की वह सच्ची अधिकारी थी
अभी उम्र कुल तेइस की थी, मनुष नहीं अवतारी थी
हमको जीवित करने आयी, बन स्वतंत्रता नारी थी

दिखा गई पथ, सिखा गई हमको जो सीख सिखानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

जाओ रानी याद रखेंगे हम कृतज्ञ भारतवासी
यह तेरा बलिदान जगायेगा स्वतंत्रता अविनाशी
होये चुप इतिहास, लगे सच्चाई को चाहे फाँसी
हो मदमाती विजय, मिटा दे गोलों से चाहे झांसी

तेरा स्मारक तू ही होगी, तू खुद अमिट निशानी थी
बुंदेले हरबोलों के मुँह हमने सुनी कहानी थी
खूब लड़ी मर्दानी वह तो झांसी वाली रानी थी

3:51 AM

Tum Kehti Ho Mujhay

posted under by sandeep | Edit This

Tum Kehti Ho Mujhay Phoolon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Phool Khiltay Hain
Tu Unhain Tehni Say Toor Dalti Ho
Tum Kehti Ho Mujhay Baarishoon Say Pyaar Hai...?
Magar Jab Baarish Hoti Hai
Tu Chuppti Phirti Ho
Tum Kehti Ho Mujhay Hawaoon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Hawa Chalti Hai
Tu Khirkiyan Band Kar Leti Ho
Phir Is Waqt
Main Khoof Zada Sa Ho Jata Hoon
Jab Tum..... Mujh Say Kehti Ho
Mujhay Tum Say Pyar Hai

10:05 PM

Aye bewafa zindagi....................

posted under by sandeep | Edit This
Aye bewafa zindagi kyon mujhse daga karti ho
jo bhee bana apna, usey paraaya karti ho

chaha jo muskurana toh aankhe bhigoti ho
ab yahan koi nahi, kyon intezaar karavati ho

zindagi kyon mujhse daga karti ho..........

kaun hai yahan jo suljhaaye uljhi zulfein
kyon toote dilon ko yuin jalaati ho

zindagi kyon mujhse daga karti ho.........

gar game dard ka hee samundar ho to
kyon chahat ka meetha dard jagaati ho

zindagi kyon mujhse daga karti ho.......... .

shaam dhale jo paagal dil sona chahe
kyon mujhe rulaane chali aati ho

zindagi kyon mujhse daga karti ho......

11:42 PM

Love_Shayari

posted under by sandeep | Edit This
Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna

Chehre pe haseen chaa jati hai
Aankhon main suroor aaa jata hai
Jab tum mujhe apna kahte ho
Apne pe ghuroor aa jata hai

Bikhri hui zulfoon ko girahgeer bana lo,
rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo
kaagaz pe lakeeren to bahut kheech le tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho
aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

Dil ki baat dil mein na rahe
aankhon ke khwaab aankhon mein na rahe
Dil ki baat isi liye keh di aap ko...

Ke galti se aap kisi aur ke dil mein na rahe

tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata
phir bhi dil ki baat keh nahi paata
kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan
maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

11:28 PM

~!!~!! Mohabbat Ho To Aisi ho !!~~!!

posted under by sandeep | Edit This
Asar dil pe koi shikwa, shikayat ho to aisi ho
gale lag kar koi roye, nadamat ho to aisi ho
mujhe kaanta chubhe, aur teri aankhon se lahoo tapke
ta-alluk ho to aisa ho, mohabbat ho to aisi ho ......

11:26 PM

bewafaa'oN se pyaar raKhate haiN

posted under by sandeep | Edit This
bewafaa'oN se pyaar raKhate haiN,
phir bhee dil meiN qaraar raKhate haiN..

Haal-e-dil se hou koii kiyuN waaqif,
lab pe ham eKhtiyaar raKhate haiN..

zeyb-o-ziinat se chehre haiN roShan,
par jigar meiN Ghubaar raKhate haiN..

iNtehaa-e-junuun- e-iShq hai yeh,
waade par aitbaar raKhate haiN.

nafrateN hee naheeN faqat dil meiN,
hasrat-e-deed- e-yaar raKhate haiN..

ham ko un se nahiiN gilah koii,
dil meiN wo kiyuN Ghubaar raKhate haiN..

haasil-e-ziNdagii naheeN kuchh par,
KhwaahiSheN be-Shumaar raKhate haiN..

soch kar, phir na ho khata-e-iShq,
daaman ab daaG-daar raKhaTe haiN..

falsafa yeh hei zindagii ka Mayank,
Hasrat-e-dil ko maar raKhate haiN..

11:17 PM

Doston ke kayi rang roop

posted under by sandeep | Edit This
Doston ke kayi rang roop dekhen hain
Kisi ne hume loota hai,
koi humare liye loot gaya hai.
Chaahat mein fark hai sab ke.
Koi ne dua di hai, toh koi baad dua de gaya hai.
Kisi ne humse pyaar kiya, toh koi humara dil,
Todh gaya hai.
Kisi ne hume khushiyan di, toh koi humari
Muskurahat hi cheen gaya hai.
Kisi ne rah par phool bichaye hain.
Toh koi kannte chubho gaya hai.
Kisi ne rait ke ghar bana kar diye.
Koi ghar ko hi roondh gaya.
Kisi ne kishti mein ghoomaya.
Koi kishti hi doobo gaya.
Kisi ne dulhan ban.ne ka sapna dikhaka.
Par koi kafan pahna kar chala gaya.
ab lagata hai bahut kcuh asar hee nahee karata
dekhte rahate hain khamosh se
har naye dost ka rang naya
Kisi ne dulhan ban.ne ka sapna dikhaka.
Par koi kafan pahna kar chala gaya.

top