3:36 AM

Gareeb kya ishq karegaa

posted under by sandeep | Edit This

Gareeb kya ishq karegaa kya ishq kaa ikraar karega
Kyun jeenaa apnaa jaan bujhh kar dushwaar karegaa

Do paise kama ke pyaar se daal roti khaata hai
Ishq ke chakkar main kyun khud ko bekaar karegaa

Mehant karke thakk haar ke achche neend wo sota hai
Kyun raaton main taare giinne ka wo vyaapaar karegaa

Ishq ki galiyoon main dil uskaa gar tut jaaaye tho
Aise lachaar bekaar premi ka sahyogg kya sansaar karegaa

Par ye qudrat kaa khel bhii dekhoo
Ishq usse bhi ho jaaye tho phir kya wo lachaar karegaa


wo kehte hai ki unki adda hai muskurane ki,
per unhe kya pata ye bhi ek adda hai gum chupane ki.

0 comments

Make A Comment
top