1:15 AM
youn dil jalanay ki kya zarorat thi
posted under
by sandeep
|
Edit This
youn dil jalanay ki kya zarorat thi
pass aker dor janay ki kya zarorat thi
pass aker dor janay ki kya zarorat thi
Hum to usse ra'h per ker rahay hain tumhara intezar
tumhe apna rasta badalnay ki kya zarorat thi
Main ne to bas younhi keh dia tha
itna dil per laganay ki kya zarorat thi
Nahi mohabbat thi hum se,to keh dia hota
youn kisi ko saath laker jalanay ki kya zarorat thi
Kabhi azmaya to hota humay tum ne ayy naaz
apna dewana bana ker youn chordnay ki kya zarorat thi...
Comment Form under post in blogger/blogspot